Ai Rashk-e-qamar Aage Tere Shams-o-qamar Kya
ai rashk-e-qamar aage tere shams-o-qamar kya
sau jaan se fida hun main ye hai jaan-o-jigar kya
ek aan mein dete ho jila ishq ke mare
in baaton se thi isi-e-mariyam ko KHabar kya
ghairat mein mohabbat mein murawwat mein tera misl
paya nahin hum ne kahin aur hoga bashar kya
din bhar hai tasawwur hai magar baat ko rona
karte hain miyan dekhiye ye dida-e-tar kya
hum tum hain dil-o-jaan se agar ek hi 'mardan'
kahne ko hain wo ek hain hum do hain magar kya
(416) Peoples Rate This