Kar Diya Zar Gham-e-ishq Ne Aisa Mujhko
kar diya zar gham-e-ishq ne aisa mujh ko
maut aai bhi to bistar pe na paya mujh ko
kabhi jangal kabhi basti mein phiraya mujh ko
aah kya kya na kiya ishq ne ruswa mujh ko
dushman-e-jaan hua dar-parda mera jazba-e-ishq
munh chhupane lage wo jaan ke shaida mujh ko
roz-e-raushan ho na kyunkar meri aankhon mein siyah
hai tere gesu-e-shab-rang ka sauda mujh ko
ek pari-ru ki mohabbat ka main hun diwana
na pari ka na kisi jin ka hai saya mujh ko
roz-o-shab shoKH ne kya kya na dikhae nairang
ruKH dikhaya kabhi gesu-e-chalipa mujh ko
din bhale aae to aada sabab-e-KHair hue
bad-dua ne kiya aghyar ki achchha mujh ko
faKHr se bazm-e-butan mein wo kaha karte hain
pyar kuchh rose se ab karte hain 'rana' mujh ko
(337) Peoples Rate This