Samundaron Ke Musafiro
use jis ne tumhein bula liya hai samundaron ke musafiro
use ja ke mera salam kahna musafiro
jo safar ki sari saubaton se giran-baha
jab tumhaare aur mere safine ka naKHuda
do-jahan ke hama-zi-hayat ye din ye raat bhi jis ke gird ruke hue hain
jahan zamin pe jhuke hue hain
kulah tairte baadalon ke jo nur hai hama-nur hai
jahan sar jhuka ke wo jism chalte hain jin ko aag ki hiddaton ne janam diya
jinhen dekh sakta nahin koi
wo jo bhed hain
wahan wo milega tumhein zarur har ek se milta hai
dur dur se aate hain dekhne use dekhne
wo har ek ko deta hai zindagi
wo utar leta hai bojh guzre hue dilon ka
wo aane wali ruton ke chehre nikhaar deta hai
lauT aate hain log jo use dekh kar unhen log aate hain dekhne
use ja kar mera salam kahna musafiro
tumhein paniyon ki rawaniyon ka sukun mile
(367) Peoples Rate This