Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_21471c2b0aaa8f111a04fe0dde7b053e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Ghar Ke Bhed Hain Kahun Kaise Zaban Se - Maratib Akhtar Poetry In English - Darsaal

Ye Ghar Ke Bhed Hain Kahun Kaise Zaban Se

ye ghar ke bhed hain kahun kaise zaban se

kya dukh mile hain mujh ko mere bhai-jaan se

cafe ke ek kone mein masruf guftugu

maghmum be-hayat badan be-zaban se

ye din jo aaj bit gaya phir na aaega

ye tir bhi nikal gaya qaus-e-kaman se

achchhe bashar hain jin ko nahin DhunDne ki dhun

achchha KHuda hai dur hai wabastgan se

ulTe kunen ke qutr mein laTka diye gae

utre the do farishte kabhi aasman se

(430) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ghar Ke Bhed Hain Kahun Kaise Zaban Se In English By Famous Poet Maratib Akhtar. Ye Ghar Ke Bhed Hain Kahun Kaise Zaban Se is written by Maratib Akhtar. Read famous Poem Ye Ghar Ke Bhed Hain Kahun Kaise Zaban Se for youth and Student by Maratib Akhtar. Free Download Ye Ghar Ke Bhed Hain Kahun Kaise Zaban Se in PDF.