Sare Manzar KHak Hote Ja Rahe Hain Dosto
sare manzar KHak hote ja rahe hain dosto
hum ne jo paya hai khote ja rahe hain dosto
aao paidal hi safar ke silsilon ko raund den
baiThe baiThe banjh hote ja rahe hain dosto
sans ki Dori mein ujDe mausamon ki sipiyan
ek tasalsul se pirote ja rahe hain dosto
tairti muD muD ke takti kashtiyon ke baadban
rafta rafta dur hote ja rahe hain dosto
na-samajh is sar-zamin par aane walon ke liye
nit nae bohran bote ja rahe hain dosto
ye ghani chhanw paDaw thi nae aaghaz ka
is ghani chhanw mein sote ja rahe hain dosto
(444) Peoples Rate This