Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3ceb6a388041a0aa00693be812ecc33a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Wo Dariya Hun ChaDha Ho Jo Utarne Ke Liye - Maratib Akhtar Poetry In English - Darsaal

Main Wo Dariya Hun ChaDha Ho Jo Utarne Ke Liye

main wo dariya hun chaDha ho jo utarne ke liye

ji raha hun main yahan ham-zad marne ke liye

chae-KHane ki nashiston par jaridon ke waraq

peD se patte jhaDe uDne bikharne ke liye

ek main madd-e-muqabil wusat-e-afaq mein

aur sari taqaten gumrah karne ke liye

hafiza viran hone ke liye aabaad tha

nam kuchh honTon pe aae the bisarne ke liye

kar-KHanon ko chale amboh-dar-amboh log

jaanwar nikle charagahon mein charne ke liye

raushni mein KHauf ka ehsas tak hota nahin

kar diya hai off Teble-lamp Darne ke liye

(438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Wo Dariya Hun ChaDha Ho Jo Utarne Ke Liye In English By Famous Poet Maratib Akhtar. Main Wo Dariya Hun ChaDha Ho Jo Utarne Ke Liye is written by Maratib Akhtar. Read famous Poem Main Wo Dariya Hun ChaDha Ho Jo Utarne Ke Liye for youth and Student by Maratib Akhtar. Free Download Main Wo Dariya Hun ChaDha Ho Jo Utarne Ke Liye in PDF.