Bulandiyon Se Wo Be-dagh Nur Ubhar Aae
bulandiyon se wo be-dagh nur ubhar aae
hazar rang tahi wusaton mein bhar aae
khile nigah ki shaKHon pe intizar ke phul
hawa mein uDte hue baadban nazar aae
labon se bichhDe hue qahqahe teri manind
ruten guzar gain lekin na lauT kar aae
bujhi bujhi hui aankhen bhanwar bhanwar chehre
jab aaftab ki lau bujh rahi thi ghar aae
buland-o-past pahaDon ke silsilon ki tarah
hum apne aap ko bhi muntashir nazar aae
nadi nasheb-numa uljhanon mein Dub gai
nihan sukut tah-e-ab se ubhar aae
(387) Peoples Rate This