TariKH Ka Nauha
shahon ko KHabar nahin ho saki
ki bulldozeron se haTai gai mayyaton ki Dher mein
kis kis ke ehram par lahu ne aayaten raqam kin
hajiyon ki jama punji se munafea baTorti hukumaten
aab-e-zam-zam ke chashme aur petrol ke kuen mein
tamiz karna bhul jaen
to KHun ki lakir haram se nikal kar mina tak pahunch jati hai
shahi farman ko ibaadat ka darja dene wale
muftiyon ne ye kabhi nahin dekha
ki tariKH kai bar taKHt ko taKHta bante hue dekh chuki hai
shaitan ko patthar marta hua hujum
apne aap ko raund kar KHak mein mil jata hai
aur mansur anal-haq kah kar har daur mein amar hota raha
KHuda
nadamat ke aansu rone walon ko
muaf karne mein der nahin karta
aur shaitan intiqam lena nahin bhulta
lekin hum bhul jate hain
ki mehrab masjid ke hon ya mathon ke
nekiyon aur badiyon ka hisab sirf KHuda ke pas hai
gin gin kar patthar marne wale
un kankaron ki ginti bhul chuke hain
jo ababilon ne hathiyon par girae the
(691) Peoples Rate This