Ek Ye Dil Jo Tujhe De Ke Ganwa Dene Laga
ek ye dil jo tujhe de ke ganwa dene laga
aur ek chiz koi is ke siwa dene laga
aisi KHushbu hai ki ab zabt nahin hai mumkin
main hawaon ko koi raaz bata dene laga
ab mere samne rasta hi kuchh aisa hai ki main
apni manzil ko bhi raste se haTa dene laga
wo jise dekh ke jalne mein maza lena tha
waqt wo dagh-e-tamanna bhi miTa dene laga
jis ki gardish mein mah-o-mehr hon dohrae hue
aise manzar ko main mehwar se haTa dene laga
kya zamana tha tere wasl ki betabi ka
kya zamana hai tera hijr maza dene laga
ek hasrat mein hua itna mujhe ranj ki main
hath aai hui duniya ko ganwa dene laga
itna mahrum-e-tamanna hun ki ab aaKHir-kar
main ne jo chaha wahi mujh ko KHuda dene laga
aab-e-sada jo barasta hai dariche se pare
aatish-e-mai ko zara aur baDha dene laga
mujh ko sunna tha kisi aur zamane ne 'wafa'
main kisi aur zamane mein sada dene laga
(432) Peoples Rate This