Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_03397b39f4b37594ca0ce65cc29eb37d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ittifaqan Jo Kahin Ab Wo Nazar Aate Hain - Maqbool Naqsh Poetry In English - Darsaal

Ittifaqan Jo Kahin Ab Wo Nazar Aate Hain

ittifaqan jo kahin ab wo nazar aate hain

kitni yaadon ke hasin naqsh ubhar aate hain

kaise guzri shab-e-ashufta-sara kis ko KHabar

log to baam pe hangam-e-sahar aate hain

soch len aap mera sath kahan tak denge

marhale saikDon dauran-e-safar aate hain

yun ghalat to nahin chehron ka tassur bhi magar

log waise bhi nahin jaise nazar aate hain

un se jab tark-e-talluq ka KHayal aata hai

rabte kitne tasawwur mein ubhar aate hain

(455) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ittifaqan Jo Kahin Ab Wo Nazar Aate Hain In English By Famous Poet Maqbool Naqsh. Ittifaqan Jo Kahin Ab Wo Nazar Aate Hain is written by Maqbool Naqsh. Read famous Poem Ittifaqan Jo Kahin Ab Wo Nazar Aate Hain for youth and Student by Maqbool Naqsh. Free Download Ittifaqan Jo Kahin Ab Wo Nazar Aate Hain in PDF.