Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_220d6ce883ce25ee2195670acf4e7389, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yahi Chinar Yahi Jhil Ka Kinara Tha - Maqbool Aamir Poetry In English - Darsaal

Yahi Chinar Yahi Jhil Ka Kinara Tha

yahi chinar yahi jhil ka kinara tha

yahin kisi ne mere sath din guzara tha

nazar mein naqsh hai subh-e-safar ki virani

bas ek main tha aur ek subh ka sitara tha

mere KHilaf gawahi mein pesh pesh raha

wo shaKHs jis ne mujhe jurm par ubhaara tha

KHiraj deta chala aa raha hun aaj talak

main ek roz zamane se jang haara tha

mujhe KHud apni nahin us ki fikr lahaq hai

bichhaDne wala bhi mujh sa hi be-sahaara tha

zamin ke kaam agar meri dastaras mein nahin

to phir zamin pe mujhe kis liye utara tha

main jal ke rakh hua jis alao mein 'amir'

wo ibtida mein sulagta hua sharara tha

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi Chinar Yahi Jhil Ka Kinara Tha In English By Famous Poet Maqbool Aamir. Yahi Chinar Yahi Jhil Ka Kinara Tha is written by Maqbool Aamir. Read famous Poem Yahi Chinar Yahi Jhil Ka Kinara Tha for youth and Student by Maqbool Aamir. Free Download Yahi Chinar Yahi Jhil Ka Kinara Tha in PDF.