Meri Tarif Kare Ya Mujhe Bad-nam Kare
meri tarif kare ya mujhe bad-nam kare
jis ne jo baat bhi karni hai sar-e-am kare
zaKHm par waqt ka marham to laga deti hai
aur kya is ke siwa gardish-e-ayyam kare
mohtasib se main akela hi nimaT sakta hun
jis ne jo jurm kiya hai wo mere nam kare
wo meri soch se KHaif hai to us se kahna
mujh mein uDte hue tair ko tah-e-dam kare
kaun aaega pae-pursish-e-ahwal yahan
kis ki KHatir koi tazin-e-dar-o-baam kare
mujh ko bhi ho meri auqat ka kuchh andaza
koi to surat-e-yusuf mujhe nilam kare
(471) Peoples Rate This