Wo Mere Gham Mein Bhi KHandan Nahin Hone Pata
wo mere gham mein bhi KHandan nahin hone pata
hae wo kufr jo iman nahin hone pata
wo nasheman ki jo barbaad-e-bahaaran ho jae
wo kahin soKHta-saman nahin hone pata
ho agar hosh bhi ehsas-e-bahaaran mein sharik
chaak apna bhi gareban nahin hone pata
itni aasan bhi gham-e-dost ki takmil nahin
ghar bhi ujDe to bayaban nahin hone pata
yun bhi ek umr guzar jati hai milte milte
ek ko ek ka irfan nahin hone pata
'shor' KHamosh nahin mere hi zindan ke charagh
shahr-e-KHuban bhi charaghan nahin hone pata
(502) Peoples Rate This