Wajh-e-taskin-e-junun Wasl-e-nigaran Bhi Nahin
wajh-e-taskin-e-junun wasl-e-nigaran bhi nahin
ishq aasan hai magar is qadar aasan bhi nahin
har tajalli ke liye zarf-e-nazar hai darkar
jalwa arzan hai magar is qadar arzan bhi nahin
jaane kya soch ke har rah mein ruk jata hun
us se milne ka kisi moD pe imkan bhi nahin
har nafas khinch raha hai koi rag rag se lahu
aur nashtar koi paiwast-e-rag-e-jaan bhi nahin
qafile hain ki guzarte hi chale jate hain
manzilen hain ki kisi samt numayan bhi nahin
gul ka kya zikr ki ai dost mere daman par
ek muddat se kisi KHar ka ehsan bhi nahin
kaun samjhega mere zarf-e-junun ki wusat
main pareshan hun mera haal pareshan bhi nahin
tu ye ilzam mere zarf-e-junun par na tarash
ishq kafir bhi nahin ishq musalman bhi nahin
'shor' uTha dun main gul-o-lala ke parde lekin
yan koi mahram-e-asrar-e-gulistan bhi nahin
(436) Peoples Rate This