Na Nishat-e-chaara-sazi Na Malal-e-kam-nigahi
na nishat-e-chaara-sazi na malal-e-kam-nigahi
mujhe us nazar ne mara be-gunah be-gunahi
sar-e-anjuman ghanimat hai buton ki kam-nigahi
ki sukun-e-dil pe aati hai nazar se bhi tabahi
ye siyasat-e-bahaaran hai KHizan ki be-panahi
ki jo jal uThe nasheman to chaman na de gawahi
teri anjuman se bahar kai aaftab nikle
na dhuli kisi sahar se kisi raat ki siyahi
tere shahr se nikalte hi mizaj-e-dahr la hi
na wo rabt-e-shabnam-o-gul na wo baad-e-subh-gahi
tere shahr-e-arzu mein yunhi kaT gai hain raaten
na junun ki aankh jhapki na KHirad ne li jamahi
diye teri rahguzaron ke jahan jahan jale hain
na charagh-e-but-kada hai na charagh-e-KHanqahi
na sanam-kade ki manzil na haram ka aastana
wo nazar jahan uThi hai wahin ruk gae hain rahi
koi 'shor' ye to puchhe dar-o-baam-e-khusrawi se
ye lahu se kis ke raushan hai charagh-e-kaj-julahi
(488) Peoples Rate This