Mujhe Ai Ham-nafas Andesha-e-barq-o-KHizan Kyun Ho
mujhe ai ham-nafas andesha-e-barq-o-KHizan kyun ho
meri parwaz mahdud-e-faza-e-gulsitan kyun ho
junun ki wusaton par tang hai arsa do-alam ka
jo sajda ho to phir sajda ba-qaid-e-astan kyun ho
mere kaam aa gai aaKHir meri kashana-bar-doshi
sharar-o-barq ki zad par bhi mera aashiyan kyun ho
gham-e-dil bhi jo ruswa-e-mazaq-e-am ho jae
to phir in dastanon mein hamari dastan kyun ho
pyalon ki khanak se bhi jahan dil TuT jate hain
wahan chhaya hua har bazm par KHwab-e-giran kyun ho
na main jaan-dada-e-saqi na main warafta-e-mutrib
agar mahfil se uTh jaun to mahfil bad-guman kyun ho
main jis aalam mein hun apni jagah ai 'shor' tanha hun
juda ho jis ki manzil wo rahin-e-karwan kyun ho
(434) Peoples Rate This