Mere Dil Ki DhaDak Uske Tabassum Par Garan Kyun Ho
mere dil ki dhaDak us ke tabassum par garan kyun ho
main afsana hun us ka wo mera afsana-KHwan kyun ho
mere kaam aa gai aaKHir meri kashana-bar-doshi
lapakti bijliyon ki zad pe mera aashiyan kyun ho
kinaron se guzar jaana hi tufanon ki fitrat hai
jahan duniya Thahar jae qadam mera wahan kyun ho
tera jalwa bhi jab tera hi parda hota jata hai
to phir meri nigahon par nigahon ka guman kyun ho
na main warafta-e-mutrib na main jaan-dada-e-saqi
agar mahfil se uTh jaun to mahfil bad-guman kyun ho
main jis aalam mein hun apni jagah ai 'shor' tanha hun
juda ho jis ki manzil wo rahin-e-karwan kyun ho
(354) Peoples Rate This