Maal-e-shab Ba-unwan-e-sahar Kahna Hi PaDta Hai
maal-e-shab ba-unwan-e-sahar kahna hi paDta hai
koi rasta ho us ki rahguzar kahna hi paDta hai
wo sannaTa KHirad kahti hai jis ko ghar ki virani
use bhi raunaq-e-diwar-o-dar kahna hi paDta hai
sulag jata hai sina jis ki ThanDi sarsarahaT se
us aatish ko bhi yan baad-e-sahar kahna hi paDta hai
sharik-e-rahguzar koi nahin hota magar phir bhi
yahan har rah-rau ko ham-safar kahna hi paDta hai
musallam gul-kadon ki lala-samani magar hamdam
sharar-o-barq ko bhi mo'atabar kahna hi paDta hai
ba-har-surat guzar jati hai jo dil par guzarti hai
magar phir apne ghar ko apna ghar kahna hi paDta hai
kuchh aise bhi fasane mahfilon mein chheDe jate hain
ki jin ko ehtiyatan muKHtasar kahna hi paDta hai
KHamoshi ek majburi takallum ek mahrumi
kisi se kah nahin sakte magar kahna hi paDta hai
(410) Peoples Rate This