Dida-o-danista Dhoka Kha Gae
dida-o-danista dhoka kha gae
hum fareb-e-zindagi mein aa gae
jab hujum-e-shauq se ghabra gae
kho gae KHud aur tum ko pa gae
chain bhi lene nahin dete mujhe
main abhi bhula tha phir yaad aa gae
main kahan jaun nazar ko kya karun
aap to sari faza par chha gae
dil hi dil mein uff wo dard-e-na-gahan
aankhon hi aankhon mein kuchh samjha gae
ruKH se aanchal bhi na sarka tha abhi
nichi nazren ho gain sharma gae
uff ye ghunchon ka tabassum ye bahaar
haif agar ye ghunche kal murjha gae
jis qadar ghunche khile the nau-ba-nau
meri aankhon se lahu barsa gae
puchhte kya ho in ashkon ka sabab
waqiat-e-rafta phir yaad aa gae
ab to 'shor' apna fasana KHatm kar
un ki aankhon mein bhi aansu aa gae
(437) Peoples Rate This