Bujhti Hui ShaMein Hoti Hain Dube Hue Tare Hote Hain
bujhti hui shamen hoti hain Dube hue tare hote hain
mahfil ke ujaDne se pahle aasar ye sare hote hain
barbaad-e-mohabbat par aisa ek daur bhi aa hi jata hai
aaghosh mein suraj hota hai palkon pe sitare hote hain
ye zarf hai zarf-e-fikr-o-nazar har Dubne wala kya jaane
be-bahr bhi tufan uThte hain be-mauj bhi dhaare hote hain
nazzara to hai be-parda magar har dekhne wala kya dekhe
jo zarf-e-nazar mein aa na saken aise bhi nazare hote hain
tughyan-e-hawadis ki hamdam itni hi nawazish kya kam hai
kashti na sahi sahil na sahi tufan to hamare hote hain
(432) Peoples Rate This