Yaqin Ho To Koi Rasta Nikalta Hai
yaqin ho to koi rasta nikalta hai
hawa ki oT bhi le kar charagh jalta hai
safar mein ab ke ye tum the ki KHush-gumani thi
yahi laga ki koi sath sath chalta hai
ghilaf-e-gul mein kabhi chandni ke parde mein
suna hai bhes badal kar bhi wo nikalta hai
likhun wo nam to kaghaz pe phul khilte hain
karun KHayal to paikar kisi ka Dhalta hai
rawan-dawan hai udhar hi tamam KHalq-e-KHuda
wo KHush-KHiram jidhar sair ko nikalta hai
ummid o yas ki rut aati jati rahti hai
magar yaqin ka mausam nahin badalta hai
(551) Peoples Rate This