Tilism-e-koh-e-nida Jab Bhi TuT Jaega
tilism-e-koh-e-nida jab bhi TuT jaega
to karwan-e-sada bhi palaT ke aaega
khinchi rahengi saron par agar ye talwaren
mata-e-zist ka ehsas baDhta jaega
hawaen le ke uDengi to barg-e-awara
nishan kitne nae raston ka paega
main apne qatl pe chiKHa to dur dur talak
sukut-e-dasht mein ek irtiash aaega
kiwaD apne isi Dar se kholte nahin hum
siwa hawa ke unhen kaun khaTkhaTaega
hawaen gard se har raste ko Dhak dengi
hamare baad koi qafila na jaega
yunhi Dubota raha kashtiyan agar sailab
to sath-e-ab pe chalna bhi aa hi jaega
(431) Peoples Rate This