Shauq Jab Jurat-e-izhaar Se Dar Jaega

shauq jab jurat-e-izhaar se Dar jaega

lafz KHud apna gala ghunT ke mar jaega

tez-raftar hawaon ko ye ehsas kahan

shaKH se TuTega patta to kidhar jaega

ye chamakta hua suraj bhi meri sham ke baad

raat ke gahre samundar mein utar jaega

sirf ek ghar ko Dubona hi nahin kaam is ka

ab ye sailab kisi aur ke ghar jaega

hain har ek samt yahi log yahi duniya hai

in se bach ke koi jae to kidhar jaega

kaam itna to karega ye ubalta hua KHun

sare manzar mein mera rang to bhar jaega

(486) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Shauq Jab Jurat-e-izhaar Se Dar Jaega In English By Famous Poet Manzoor Hashmi. Shauq Jab Jurat-e-izhaar Se Dar Jaega is written by Manzoor Hashmi. Read famous Poem Shauq Jab Jurat-e-izhaar Se Dar Jaega for youth and Student by Manzoor Hashmi. Free Download Shauq Jab Jurat-e-izhaar Se Dar Jaega in PDF.