Nai Zamin Na Koi Aasman Mangte Hain

nai zamin na koi aasman mangte hain

bas ek gosha-e-amn-o-aman mangte hain

kuchh ab ke dhup ka aisa mizaj bigDa hai

daraKHt bhi to yahan saeban mangte hain

hamein bhi aap se ek baat arz karna hai

par apni jaan ki pahle aman mangte hain

qubul kaise karun un ka faisla ki ye log

mere KHilaf hi mera bayan mangte hain

hadaf bhi mujh ko banana hai aur mere harif

mujhi se tir mujhi se kaman mangte hain

nai faza ke parinde hain kitne matwale

ki baal-o-par se bhi pahle uDan mangte hain

(431) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nai Zamin Na Koi Aasman Mangte Hain In English By Famous Poet Manzoor Hashmi. Nai Zamin Na Koi Aasman Mangte Hain is written by Manzoor Hashmi. Read famous Poem Nai Zamin Na Koi Aasman Mangte Hain for youth and Student by Manzoor Hashmi. Free Download Nai Zamin Na Koi Aasman Mangte Hain in PDF.