Koi Puchhe To Na Kahna Ki Abhi Zinda Hun
koi puchhe to na kahna ki abhi zinda hun
waqt ki kokh mein ek lamha-e-ainda hun
zindagi kitni hasin kitni baDi neamat hai
aah main hun ki use pa ke bhi sharminda hun
kya ada hone ko hai sunnat-e-ibrahimi
aag hi aag hai har samt magar zinda hun
zindagi tu jo sunegi to hansi aaegi
main samajhta hun ki main tera numainda hun
tez raftar hawaon ke labon se puchho
harf-e-aKHir hun main ek naghma-e-painda hun
ajnabi jaan ke har shaKHs guzar jata hai
aur sadiyon se isi shahr ka bashinda hun
jaane kin tez ujalon mein nahaya tha kabhi
is qadar saKHt andheron mein bhi tabinda hun
(430) Peoples Rate This