KHayal O Shauq Ko Jab Hum Teri Taswir Karte Hain
KHayal o shauq ko jab hum teri taswir karte hain
to dil ko aaina aur aankh ko tanwir karte hain
nazar ke samne jitna ilaqa hai wo dil ka hai
to us ki be-dili ke nam ye jagir karte hain
hawa mismar bhi kar de agar shahr-e-tamanna ko
phir us malbe se qasr-e-arzu tamir karte hain
hawaen paDh ke apne nam ke KHat jhum jati hain
mohabbat se jo patton par shajar tahrir karte hain
hamare lafz aainda zamanon se ibarat hain
paDha jaega kal jo aaj wo tahrir karte hain
(372) Peoples Rate This