Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c771a6a0f31a687fa2f9a373d6b2d3dc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Ghazal Mein Thin Uski Nazakaten Sari - Manzoor Arif Poetry In English - Darsaal

Meri Ghazal Mein Thin Uski Nazakaten Sari

meri ghazal mein thin us ki nazakaten sari

usi ke ru-e-hasin ki sabahaten sari

wo bolta tha to har ek tha gosh-bar-awaz

wo chup hua to hain bahri samaaten sari

wo kya gaya ki har ek shaKHs rah gaya tanha

usi ke dam se thin baham rifaqaten sari

Dubo gaya wo mera lafz lafz dariya mein

wo gharq kar gaya meri alamaten sari

wo ek lamha sar-e-dar jo chamak uTTha

us ek lamhe pe qurban saaten sari

jahan pe dafn hai us ke badan ka taj-mahal

udhar dariche rakhengi imaraten sari

(475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Ghazal Mein Thin Uski Nazakaten Sari In English By Famous Poet Manzoor Arif. Meri Ghazal Mein Thin Uski Nazakaten Sari is written by Manzoor Arif. Read famous Poem Meri Ghazal Mein Thin Uski Nazakaten Sari for youth and Student by Manzoor Arif. Free Download Meri Ghazal Mein Thin Uski Nazakaten Sari in PDF.