Manzar Jhalakte Chand Ka Kitna Hasin Tha
manzar jhalakte chand ka kitna hasin tha
us ki qaba ki tarah wo baadal mahin tha
hairan hai mujh ko dekh ke kyun TuTta daraKHt
main ug raha hun ab ki main zer-e-zamin tha
ab khul gaya hai mujh se to had se guzar gaya
warna wo dekhne mein to behad matin tha
main hosh-mand rah ke bhi nadan hi raha
jazbaat mein wo bah ke bhi kitna zahin tha
tujh ko raha na apne zar-e-gham ka e'timad
warna ye dil to dard-e-jahan ka amin tha
'arif' zaban us ki na deti thi dil ka sath
inkar kar ke aaega mujh ko yaqin tha
(472) Peoples Rate This