Main Jin Bulandiyon Pe Tha Jin Se Gira Bhi Tha
main jin bulandiyon pe tha jin se gira bhi tha
mera KHayal hai ki wahan par KHuda bhi tha
utra zamin par to nigahen chamak uThin
ye husn garche KHuld se kam tha juda bhi tha
us ne zamin par bhi na jine diya mujhe
ye shewa-e-saza ki KHuda ko rawa bhi tha
pesh-e-nazar tha hazrat-e-adam ke jo shajar
thi lazzat-e-samar to KHayal-e-baqa bhi tha
shayad ki sochta bhi ho mere liye wo husn
mujh ko nikal kar jo mujhe dekhta bhi tha
kyun us ne arsh-o-farsh pe apna liya mujhe
kya tujh sa do-jahan mein koi dusra bhi tha
'arif' wo kar raha tha tabassum bhi zer-e-lab
jab aalam-e-itab mein mujh se KHafa bhi tha
(440) Peoples Rate This