Kuchh Raaz Hain Aise Jo KHabar Tak Nahin Pahunche

kuchh raaz hain aise jo KHabar tak nahin pahunche

aise bhi hain jalwe jo nazar tak nahin pahunche

ek lamhe ko aaya tha sar-e-bazm wo KHush-ru

jo ghar se gae dekhne ghar tak nahin pahunche

chhoTe the jo qamat mein jinhen jhuk ke mila tha

un hathon ke patthar mere sar tak nahin pahunche

us gard se niklo ki safar ka karen aaghaz

yaro tum abhi rahguzar tak nahin pahunche

har chand ki dar chhoD ke tera hue ruswa

lekin kabhi hum ghair ke dar tak nahin pahunche

kya jaaniye kin logon ki qismat mein hun 'arif'

wo phal jo abhi shaKH-e-shajar tak nahin pahunche

(453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Raaz Hain Aise Jo KHabar Tak Nahin Pahunche In English By Famous Poet Manzoor Arif. Kuchh Raaz Hain Aise Jo KHabar Tak Nahin Pahunche is written by Manzoor Arif. Read famous Poem Kuchh Raaz Hain Aise Jo KHabar Tak Nahin Pahunche for youth and Student by Manzoor Arif. Free Download Kuchh Raaz Hain Aise Jo KHabar Tak Nahin Pahunche in PDF.