Kaise Aa Pahunchi Hai Gulshan Ki Hawa Zindan Mein
kaise aa pahunchi hai gulshan ki hawa zindan mein
dil ka jau zaKHm tha ek phul bana zindan mein
aisa dil-kash tha ki thi maut bhi manzur hamein
hum ne jis jurm ki kaTi hai saza zindan mein
main gulistan mein bhi tanha tha magar yaad to thi
kaisa be-yar-o-madad-gar hua zindan main
main nai tanhai se tang aa ke use yaad kiya
ab mere sath hi rahta hai KHuda zindan mein
wo jo gulshan mein mere gham ka mudawa na hua
chand nikla to use yaad kiya zindan mein
aaj jab aankh khuli hai to faza hai KHamosh
subh-dam kaun su-e-dar gaya zindan mein
(451) Peoples Rate This