Har Shai Lamhe Ki Mehman Hai Kya Gul Kya KHushbu
har shai lamhe ki mehman hai kya gul kya KHushbu
kya mai kya nasha-e-aina kya aaina-ru
morni ki ye KHwahish wajd mein aa kar nache mor
pyas bujhane ko de de bas do qatre aansu
kya tha wo lamhon ki rifaqat ho gai KHwab-o-KHayal
tujh bin sari umr raha KHali mera pahlu
zehni rishte qalbi nate sab aghraaz-pasand
sab lamhon ke jadugar hain kya main aur kya tu
'arif' kya tadbir ho us ko kaise ram karun
main ek KHali hath shikari wo ek tez aahu
(435) Peoples Rate This