Barishen KHun Ki Tez Hain Tez Hain KHun Ki Aandhiyan
barishen KHun ki tez hain tez hain KHun ki aandhiyan
chaak-dar-chaak uDne lagin KHun mein zist ki chhatriyan
raat petrol ki aag se shahr mein yun charaghan hua
kanp kar bujh gain dil ke raushan jharokon ki sab battiyan
be-aman KHalq curfew-zada roz-o-shab ke andhere mein gum
apni gardan mein Dale hue apne katbaat ki taKHtiyan
donon hi likh rahi thin lahu se mere saneha qatl ka
ek taraf hamla-war aastin ek taraf pasban wardiyan
gar yunhi aag daman se uThti rahi to jala Dalegi
husn-e-gul-rang ka pairahan ishq-e-gulnar ki dhajjiyan
jalti aankhon ke moti pighalte rahe aur ehsas ke
reg-zaron mein tapti rahin mere KHwabon ki parchhaiyan
marg-e-amboh ka jashn-e-matam hai raushan karen hum 'shahab'
phuljhaDi ashk-e-KHush-rang ki taza zaKHmon ki mahtabiyan
(425) Peoples Rate This