Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_360716dc5044b736c597bb6dda745b54, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sach Ko JhuT Bana Jata Hai Baz Auqat - Manzar Naqvi Poetry In English - Darsaal

Sach Ko JhuT Bana Jata Hai Baz Auqat

sach ko jhuT bana jata hai baz auqat

banda Thokar kha jata hai baz auqat

ghar ki chhat par rim-jhim barish jalti dhup

ye mausam bhi aa jata hai baz auqat

achchhi qismat achchha mausam achchhe log

phir bhi dil ghabra jata hai baz auqat

rozana tu raat gae ghar aata hai

sham se pahle aa jata hai baz auqat

jit ke mujh se itna kyun itraate ho

haar ke bhi jita jata hai baz auqat

tum ne nahaq rone ka ilzam diya

aankh mein pani aa jata hai baz auqat

'manzar' miThi baaten bhi to karta hai

kaDwe bol suna jata hai baz auqat

(421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sach Ko JhuT Bana Jata Hai Baz Auqat In English By Famous Poet Manzar Naqvi. Sach Ko JhuT Bana Jata Hai Baz Auqat is written by Manzar Naqvi. Read famous Poem Sach Ko JhuT Bana Jata Hai Baz Auqat for youth and Student by Manzar Naqvi. Free Download Sach Ko JhuT Bana Jata Hai Baz Auqat in PDF.