Us Se Ji Bhar Ke Mili Dad-e-tamanna Mujhko
us se ji bhar ke mili dad-e-tamanna mujh ko
jis ne taswir teri dekh ke dekha mujh ko
dekhne wale ye kis shan se dekha mujh ko
aaj duniya ke maze de gai duniya mujh ko
jazb-e-dil tere karishmon ne ulaT di duniya
ab sunate hain wo KHud mera fasana mujh ko
be-tahasha teri taswir pe jati hai nigah
jab koi kahta hai taqdir ka mara mujh ko
ek dhaj aalam-e-wahshat mein badalta hun rose
chahta hun ki kahen log tumhaara mujh ko
ghar ko chhoDa hai KHuda jaane kahan jaane ko
ab samajh lijiye TuTa hua tara mujh ko
dil lahu kar gaya aaghaz-e-mohabbat 'manzar'
aur abhi dekhna baqi hai natija mujh ko
(390) Peoples Rate This