Taghaful Aur Karam Donon Barabar Kaam Karte The
taghaful aur karam donon barabar kaam karte the
jigar ke zaKHm bharte the to dil ke dagh ubharte the
KHuda jaane hamein kya tha ki phir bhi un pe marte the
jo din bhar mein hazaron wade karte the mukarte the
na puchho un ki taswir-e-KHyali ki sajawaT ko
udhar dil rang deta tha idhar hum rang bharte the
mohabbat ka samundar us ki maujen ai maaz-allah
dil itna Dubta jata tha jitna hum ubharte the
ajab kuchh zindagani ho gai thi hijr mein apni
na hanste the na rote the na jite the na marte the
shahidan-e-wafa ki manzilen to ye are to ye
wo rahen band ho jatin thin jin par se guzarte the
na puchho us ki bazm-e-naz ki kaifiyyaten 'manzar'
hazaron bar jite the hazaron bar marte the
(325) Peoples Rate This