Muddat Ke Baad Aisi Sunai KHabar Mujhe
muddat ke baad aisi sunai KHabar mujhe
main nama-bar ko dekhta hun nama-bar mujhe
mahfil pe apni naz tumhein maut par mujhe
bas jao ab na dekhna kal se idhar mujhe
sau raaten ek hijr ki shab mein tamam kin
jab aankh band ki nazar aai sahar mujhe
sada waraq jawab mein ek la ke de gaya
diwana jaanta hai mera nama-bar mujhe
han thi kabhi tamiz siyah-o-safed mein
aur ab to jaisi sham hai waisi sahar mujhe
nawak kaman mein joD ke kahte hain naz se
han kaun kaun kahta hai bedad-gar mujhe
'manzar' ye shor-e-nauha gham-e-naza mein hai kyun
nakaamiyon ko rote hain ya chaara-gar mujhe
(378) Peoples Rate This