Kuchh Is Andaz Se Manga Gaya Dil
kuchh is andaz se manga gaya dil
KHushamad kar ke de dena paDa dil
are dil ai mere dil be-wafa dil
to kya mangun KHuda se dusra dil
gile shikwon ki kar lije safai
bura kyun kijiye achchha bhala dil
hue KHamosh to rulwa ke chhoDa
agar ki baat to barma diya dil
mujhe to baKHshiye aur jine dije
mubarak aap hi ko aap ka dil
wo maqtal hi sahi mahfil kisi ki
magar kab manta hai manchala dil
na kahne degi ye chashm-e-murawwat
na puchhe hum se koi kya hua dil
phir ab kahe ki hai sahib-salamat
tumhein darkar tha dil de diya dil
badon se bhi nahin karte burai
hum aisa sab ko de 'manzar' KHuda dil
(366) Peoples Rate This