Kis Zaban Se Shikwa-e-jaur-e-sitam-ara Karen
kis zaban se shikwa-e-jaur-e-sitam-ara karen
jis ko achchha kah chuke us ki burai kya karen
un se jab puchha gaya bismil tumhaare kya karen
hans ke bole zaKHm-e-dil dekha karen roya karen
ho ke ghash jalwe se naql-e-hazrat-e-musa karen
aap agar parda uTha bhi den to hum parda karen
husn se wada-KHilafi ishq se tauba karen
din ke bhi hon bure duniya ko bhi ruswa karen
kam se kam aisi to kuchh tadbir kar ai jazb-e-ishq
wo hamein dekhen na dekhen hum unhen dekha karen
ek zamana ho raha hai ishq mein hum se KHilaf
kis ke kis ke dil mein dil Dalen ilahi kya karen
har taraf zindan ki diwaron pe hai taswir-e-dost
ab jidhar chahen asiran-e-sitam sajda karen
wah kya achchha taqaza wah kya insaf hai
dard to den aap aur tasir hum paida karen
hazrat-e-'manzar' nahin hain waizo is rang ke
aaj mai-KHwari karen kal baiTh kar tauba karen
(396) Peoples Rate This