Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_91c5f20b8e6cc99391d14370184d29a9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Id Ka Din Hua Karti Thi Har Ek Raat Mujhe - Manzar Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Id Ka Din Hua Karti Thi Har Ek Raat Mujhe

id ka din hua karti thi har ek raat mujhe

hae wo waqt ki ras aati thi barsat mujhe

kuchh bhi ho tauba mohabbat se na hogi waiz

jaan-o-dil donon se pyari hai meri baat mujhe

jagmagati teri aankhon ki qasam furqat mein

baDe dukh deti hai ye taron bhari raat mujhe

dil ne un ko bhi kiya chashm-e-murawwat ke supurd

aap se the bhi jo kuchh shikwa shikayat mujhe

dukh bhara hun mere nalon se hazar kar naseh

buri malum na ho jae koi baat mujhe

jitne din zist ke baqi hain nichhawar kar dun

phir jo mil jae jawani ki koi raat mujhe

abr-e-baran ke maze luTun main kyunkar 'manzar'

dam bhi lene de meri aankhon ki barsat mujhe

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Id Ka Din Hua Karti Thi Har Ek Raat Mujhe In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Id Ka Din Hua Karti Thi Har Ek Raat Mujhe is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Id Ka Din Hua Karti Thi Har Ek Raat Mujhe for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Id Ka Din Hua Karti Thi Har Ek Raat Mujhe in PDF.