Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cbb13e3660e04f9b8584542f9c98fc55, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai - Manzar Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai

hasraton mein ab ye ek hasrat hamare dil mein hai

itna kah dije ki be-chaara baDi mushkil mein hai

ek musa the ki in ka zikr har mahfil mein hai

aur ek main hun ki ab tak mere dil ki dil mein hai

aaj kyun had se siwa uljhan hamare dil mein hai

kya nasib-e-dushmanan wo bhi kisi mushkil mein hai

hai koi aisa jo saqi se kahe mere liye

ye bhi ek allah ka banda teri mahfil mein hai

ya ilahi KHair yun hamdardiyan hoti hain aaj

jaise mere dil ka sara dard unhin ke dil mein hai

dekhna ye hai un aankhon mein sama jata hai kaun

yun to hone ko zamana bhar teri mahfil mein hai

dekhiye kis ke muqaddar mein likhi hai ye bahaar

aaj to ek haar phulon ka kaf-e-qatil mein hai

dekhiye to apne wahshi ki tasawwur mein KHushi

ghar mein tanha hai magar jaise bhari mahfil mein hai

hai mohabbat koi bimari to bimari qubul

hae 'manzar' kis maze ka dard apne dil mein hai

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai in PDF.