Ek Neamat Tere Mahjur Ke Hath Aai Hai
ek neamat tere mahjur ke hath aai hai
id ka chand charagh-e-shab-e-tanhai hai
qaid mein bas ye koi kah de bahaar aai hai
phir to main hun meri zanjir hai angDai hai
kitna dilchasp hai allah mera qissa-e-gham
aaj koi nahin kahta mujhe nind aai hai
zahr aur zahr ki tasir batane wale
ab samajh le ki na sauda hai na saudai hai
subh tak hoga mere ghar pe hujum-e-KHilqat
raat ki raat faqat aalam-e-tanhai hai
daman-o-jeb-o-gareban bhi nisar-e-wahshat
ab kisi baat mein zillat hai na ruswai hai
do ghaDi dil ke bahalne ka sahaara bhi gaya
lijiye aaj tasawwur mein bhi tanhai hai
muddaten guzrin hamein ashk bahate 'manzar'
aaj KHud us ne hansaya to hansi aai hai
(344) Peoples Rate This