Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cc07f16ec8f61fb8cfa0e2ced9587521, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dard Ho Dil Mein To Dawa Kije - Manzar Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Dard Ho Dil Mein To Dawa Kije

dard ho dil mein to dawa kije

aur jo dil hi na ho to kya kije

gham mein kuchh gham ka mashghala kije

dard ki dard se dawa kije

aap aur ahd-e-pur-wafa kije

tauba tauba KHuda KHuda kije

dekhta hun jo hashr ke aasar

apne tewar mulahiza kije

nazar-e-iltifat ban gai maut

meri qismat ko aap kya kije

dekhiye maqtaza-e-haal-e-mariz

ab dawa chhoDiye dawa kije

chaar din ki hayat mein 'manzar'

kyun kisi se bhi dil bura kije

(564) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Ho Dil Mein To Dawa Kije In English By Famous Poet Manzar Lakhnavi. Dard Ho Dil Mein To Dawa Kije is written by Manzar Lakhnavi. Read famous Poem Dard Ho Dil Mein To Dawa Kije for youth and Student by Manzar Lakhnavi. Free Download Dard Ho Dil Mein To Dawa Kije in PDF.