Urdu
zaban-e-hind hai urdu to mathe ki shikan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
meri mazlum urdu teri sanson mein ghuTan kyun hai
tera lahja mahakta hai to lafzon mein thakan kyun hai
agar tu phul hai to phul mein itni chubhan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
ye 'nanak' ki ye 'KHusraw' ki 'daya-shankar' ki boli hai
ye diwali ye baisakhi ye id-ul-fitr holi hai
magar ye dil ki dhaDkan aaj-kal dil ki jalan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
ye nazon ki pali thi 'mir' ke 'ghaalib' ke aangan mein
jo suraj ban ke chamki thi kabhi mahlon ke daman mein
wo shahzadi zabanon ki yahan be-anjuman kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
mohabbat ka sabhi elan kar jate hain mahfil mein
ki is ke waste jazba hai hamdardi ka har dil mein
magar haq mangne ke waqt ye begana-pan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
ye doshiza jo bazaron se iThlati guzarti thi
labon ki nazuki jis ki gulabon si bikharti thi
jo tahzibon ke sar ki oDhni thi ab kafan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
mohabbat ka agar dawa hai to is ko bachao tum
jo wada kal kiya tha aaj wo wada nibhao tum
agar tum ram ho to phir ye rawan ka chalan kyun hai
watan mein be-watan kyun hai
(1070) Peoples Rate This