Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_190a52ecc5d5030d05535a1b54457c25, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai - Manzar Bhopali Poetry In English - Darsaal

Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai

zulf o ruKH ke sae mein zindagi guzari hai

dhup bhi hamari hai chhanw bhi hamari hai

gham-gusar chehron par e'tibar mat karna

shahr mein siyasat ke dost bhi shikari hai

moD lene wali hai, zindagi koi shayad

ab ke phir hawaon mein ek be-qarari hai

haal KHun mein Duba hai kal na jaane kya hoga

ab ye KHauf-e-mustaqbil zehn zehn tari hai

mere hi buzurgon ne sar-bulandiyan baKHshin

mere hi qible par mashq-e-sang-bari hai

ek ajib ThanDak hai is ke narm lahje mein

lafz lafz shabnam hai baat baat pyari hai

kuchh to paenge us ki qurbaton ka KHamyaza

dil to ho chuke TukDe ab saron ki bari hai

bap bojh Dhota tha kya jahez de pata

is liye wo shahzadi aaj tak kunwari hai

kah do 'mir' o 'ghaalib' se hum bhi sher kahte hain

wo sadi tumhaari thi ye sadi hamari hai

karbala nahin lekin jhuT aur sadaqat mein

kal bhi jang jari thi ab bhi jang jari hai

ganw mein mohabbat ki rasm hai abhi 'manzar'

shahr mein hamare to jo bhi hai madari hai

(1381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai In English By Famous Poet Manzar Bhopali. Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai is written by Manzar Bhopali. Read famous Poem Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai for youth and Student by Manzar Bhopali. Free Download Zulf O RuKH Ke Sae Mein Zindagi Guzari Hai in PDF.