Tum Ho Mahfil Mein To Meri Chashm-e-tar Dekhega Kaun
tum ho mahfil mein to meri chashm-e-tar dekhega kaun
chand ke aage bhala dagh-e-jigar dekhega kaun
yaad ke sukhe gulabon se saja hai dil ka bagh
zaKHm ye guzre dinon ke ab magar dekhega kaun
aap hi ki hai adalat aap hi munsif bhi hain
ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhega kaun
main hi apna mohtasib ban jaun warna dosto
gumrah-e-manzil hun ya hun rah par dekhega kaun
bijliyan bhar panw mein aage zamane se nikal
ban gaya jo tu ghubar-e-rah-guzar dekhega kaun
ek din mazlum ban jaenge zulmon ka jawab
apni barbaadi ka matam umr bhar dekhega kaun
'manzar' apne KHun se is shaKH ko sarsabz kar
gar zaban miT jaegi tera hunar dekhega kaun
(638) Peoples Rate This