Sitamgaron Ke Sitam Ki UDan Kuchh Kam Hai
sitamgaron ke sitam ki uDan kuchh kam hai
abhi zamin ke liye aasman kuchh kam hai
jo is KHayal ko bhule to mare jaoge
ki apni samt qayamat ka dhyan kuchh kam hai
hamare shahr mein sab KHair-o-afiyat hai magar
yahi kami hai ki amn-o-aman kuchh kam hai
bana raha hai falak bhi azab mere liye
teri zamin pe kya imtihan kuchh kam hai
abhi shumar ke qabil hain zaKHm-e-dil mere
abhi wo dushman-e-jaan mehrban kuchh kam hai
idhar to dard ka pyala chhalakne wala hai
magar wo kahte hain ye dastan kuchh kam hai
hawa-e-waqt zara pairahan ki KHair mana
ye mat samajh ki parindon mein jaan kuchh kam hai
(704) Peoples Rate This