Sahar Ne Andhi Gali Ki Taraf Nahin Dekha
sahar ne andhi gali ki taraf nahin dekha
jise talab thi usi ki taraf nahin dekha
qalaq tha sab ko samundar ki be-qarari ka
kisi ne muD ke nadi ki taraf nahin dekha
kachoke ke deti rahin ghurbaten mujhe lekin
meri ana ne kisi ki taraf nahin dekha
safar ke bich ye kaisa badal gaya mausam
ki phir kisi ne kisi ki taraf nahin dekha
tamam umr gizari KHayal mein jis ke
tamam umr usi ki taraf nahin dekha
yazidiyat ka andhera tha sare kufe mein
kisi ne sibt-e-nabi ki taraf nahin dekha
jo aaine se mila aaine pe jhunjhlaya
kisi ne apni kami ki taraf nahin dekha
mizaj-e-id bhi samjha tujhe bhi pahchana
bas ek apne hi ji ki taraf nahin dekha
(792) Peoples Rate This