Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1aa70e06b210366d5af3a5b1eb41ae64, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Bachne Ka Nahin Sab Ka Pata Jaanti Hai - Manzar Bhopali Poetry In English - Darsaal

Koi Bachne Ka Nahin Sab Ka Pata Jaanti Hai

koi bachne ka nahin sab ka pata jaanti hai

kis taraf aag lagana hai hawa jaanti hai

ujle kapDon mein raho ya ki naqaben Dalo

tum ko har rang mein ye KHalq-e-KHuda jaanti hai

rok paegi na zanjir na diwar koi

apni manzil ka pata aah-e-rasa jaanti hai

TuT jaunga bikhar jaunga haarunga nahin

meri himmat ko zamane ki hawa jaanti hai

aap sach bol rahe hain to pasheman kyun hain

ye wo duniya hai jo achchhon ko bura jaanti hai

aandhiyan zor dikhaen bhi to kya hota hai

gul khilane ka hunar baad-e-saba jaanti hai

aankh wale nahin pahchante us ko 'manzar'

jitne nazdik se phulon ki ada jaanti hai

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Bachne Ka Nahin Sab Ka Pata Jaanti Hai In English By Famous Poet Manzar Bhopali. Koi Bachne Ka Nahin Sab Ka Pata Jaanti Hai is written by Manzar Bhopali. Read famous Poem Koi Bachne Ka Nahin Sab Ka Pata Jaanti Hai for youth and Student by Manzar Bhopali. Free Download Koi Bachne Ka Nahin Sab Ka Pata Jaanti Hai in PDF.