Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eab6973f0b9a4bd0c93f642e43cb5dff, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Isko Pahli Bar KHat Likkha To Dil DhaDka Bahut - Manzar Bhopali Poetry In English - Darsaal

Isko Pahli Bar KHat Likkha To Dil DhaDka Bahut

is ko pahli bar KHat likkha to dil dhaDka bahut

kya jawab aaega kaise aaega Dar tha bahut

jaan de denge agar duniya ne roka rasta

aur koi hal na nikla hum ne to socha bahut

ab samajh lete hain miThe lafz ki kaDwahaTen

ho gaya hai zindagi ka tajraba thoDa bahut

soch lo pahle hamare hath mein phir hath do

ishq walon ke liye hain aag ke dariya bahut

wo thi aangan mein paDosi ke main ghar ki chhat pe tha

duriyon ne aaj bhi donon ko taDpaya bahut

is se pahle to kabhi ehsas hota hi na tha

tujh se mil kar sochte hain ro liye tanha bahut

aankh hoti to nazar aa jate chhaale panw ke

sach ko kya dekhega apna shahr hai andha bahut

(531) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Isko Pahli Bar KHat Likkha To Dil DhaDka Bahut In English By Famous Poet Manzar Bhopali. Isko Pahli Bar KHat Likkha To Dil DhaDka Bahut is written by Manzar Bhopali. Read famous Poem Isko Pahli Bar KHat Likkha To Dil DhaDka Bahut for youth and Student by Manzar Bhopali. Free Download Isko Pahli Bar KHat Likkha To Dil DhaDka Bahut in PDF.